Khoya hua panchi
Teri kahaniyon me bachpan bitaya tha, wo pal anmol the, Teri muskaan me maine apne saare khwab paale the, Tere aashirvaad ke liye main door chala gaya tha Tere chehre ki muskaan mein hi, apni jeet dekhi thi. Ab sab kuch hai mere paas, naam, shohrat aur ye chamakte sitare, Par tu hi nahi, jise ye sab dikha saku, ye dischasp kinaare, Jisne hamesha mujhe aage badhne ki himmat di Ab har jeet adhuri lagti hai, kyun ki wo nahi rahi Uski sooni aankhein meri raah tak ti rahi Par main wo aakhri nazar bhi na paa saka, jo hamesha mujhme apna hero dekhti thi Ab har jeet pheeki hai, har khushi adhuri Kyon ki wo nahi jisne meri raah me apni aanchal ka saaya kiya tha Tere bina jeevan soona hai, har khushi me bhi ek khalipan Tere aashirvad ke bina, is safalta ka har par adhurapan hain Tu jo mera vishwas thi, mera sahara Ab bas teri yaadon me hi reh gayi, aur main wo khoya hua panchi